Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya Song Lyrics - Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya dev anannds Movie Hum Dono


Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Maein Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda