Aaye Khuda dard ya gham ka silsila video song lyrics by Kunal & Gayatri Ganjanwala Tum hi to ho 2011

aey Khuda! dard-o-gham ka silsila
aaj isi dam torr de
zindagi! lamha lamha mat jala
mera daaman chorr de
saans lena lage ab saza
kya karunga main jee ke, bata (x2)


koi ham-safar na koi ham-nawa
palkon mein chubhe bas yaadon ka dhuwaan
[repeat]
dil mein kuch nahi zakhmon ke siwa
nakaam hogai har dawa, har dua
gham kiye hain khushi ne ataa
kya karunga main jee ke, bata (x2)


ruk jaey saanson ka silsila
dil dharakna chorr de
pyaar mera, jaana jis din tujhe
pyaar karna chorr de
main jiyun tujh se ho ke judaa
na dikhaey yeh woh din Khuda (x2)

jab bhi tasawwur tera hota hai mere pehlu mein
teri khushbooain mere saanson mein utar jaati hain
meri tanhaiyaan jab aati hain tere qareeb
khuwaahishain sabr ki sarhad se guzar jaati hain

haan?
aray aray aray... yeh kya kiya tum ne?
main yeh chaahta hun ke yeh hawaeyn, yeh fizaeyn sab jaan lain
ke tum kitni khoob-soorat ho

lamha lamha tera ehsaas mujhe choota hai
rafta rafta main tere rang mein dhal jaati hun
main tujhe apne khayaalon mein bula kar aksar
jannaton se bhi kahin door nikal jaati hun

tum ne aisa kiyun kiya?
main chaahti hun ke yeh hawaeyn, yeh fizaeyn yeh jaan lain
ke tum mere liye ho... tum hi to ho

baanhon mein teri meri raatain hon basar
jaagun har seher bas tujh ko dekh kar
[repeat]
main tere ishq mein khud se hun bekhabar
bin tere bin tere kuch na aey nazar
teri chaahat ho mujh se khafa
na dikhaey yeh woh din Khuda (x2)