Lagi aaj saawan ki phir wo jhadi hai video song by Suresh Wadkar Chaandni 1989

lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai
wahi aag seene mein
phir jal padi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai

kuchh aise hi din the
wo jab ham mile the
chaman mein nahin phool
dil mein khile the
wahin to hai mausam
magar rut nahin wo
mere saath barsaat
bhi ro padi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai

koyi kaash dil pe
zara haath rakh de
mere dil ke tukdon ko
ik saath rakh de
magar ye hain khwaabon
khayaalon ki baaten
kabhi toot kar cheez
koyi judi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai
wahi aag seene mein
phir jal padi hai
lagi aaj saawan ki
phir wo jhadi hai