Jawab-e-shiqwa video song lyrics by Nusrat fateh Ali Khan

   dill se jo baat nikalti hy asar rakhti hy
    par nahi taqat-e-parwaz magar rakhti hy

    qudsi al-asl hy rifaat pe nazar rakhti hy
    khak se uthti hy gardoo'n pe nazar rakhti hy

    ishaq tha fitna gar o sarkash o chalak mera
    asaman cheer gaya nala-e-bebaq mera

    peer-e-gardo'n ne kaha sun k kahin hy koi
    bole sayaree sar-e-arsh-e-bari'n hy koi

    chand kehta tha nahi ahl-e-zameen hy koi
    kahkashan kehti thi poshida yahin hy koi

    kuch jo samgha to mere shikwee ko rizwa'n samgha
    mjhe ko janna se nikala hua insan samgha

    thi farishton ko herat k ye awaz hy kiya?
    arsh walo'n pe b khoolta nahi ye raaz hy kiya?

    ta sar-e-arsh bhi insan ki tag-o-taz hy kiya?
    aa gai khak ki chotki ko parwaz hy kiya?
    gafil adab se sukan-e-zameen kese hain?
    shokh-o-gustakh ye pasti k makeen kese hain?

    is qadar shokh k Allah se b barham hy
    tha jo masjod-e-mala'eek ye wohi adam hy

    alim-e-keef hy dana-eramooz-e-kam hy
    han! magar ejaz k asrar se na-mahram hy

    naaz hy taqat-e-guftar pe insano ko
    baat karne ka saleeqa nahi nadano'n ko

    aai awaz k gam angaiz hy afsana tera
    ash-e-betab se labreez hy pemana tera

    asman geer hua nara-e-mastana tera
    kis qadar shokh ziban hy dill-e-diwana tera

    shukar shikwe ko kiya husn-e-aa se tune
    ham sukhan kar diya bande ko khuda se tune

    ham to maeel ba karam hain koi saeil hi nahi
    rah dikhlain kise rah-ro-e-manzil hi nahi

    tarbiyat aam to hy johr-e-qabil hi nahi
    jis se tameer ho adam ki ye wo gull hi nahi

    koi kabil ho to ham shan kaai deete hain
    dhoondhnee wale ko dunya b nai dete hain

    hath be-zoor hain elhad se dill kho-gar hain
    umati baees-e-ruswaii-e-pegambar hain

    bout sheekan uth gaay baki jo rahe bout-gar hain
    tha Ibraheem pidar our pisar Aazir hain

    badah asham nayee badah naya khum b nayee
    hram-e-Kaba naya bout b nayee tum bhi nayee

    wo b din thy k yehi maya-e-raanai tha
    nazish-e-mosam-gull lala-e-sehraii tha

    jo musalman tha ALLAh ka sodai tha
    khabhi mahboob tumhara yehi harjaii tha

    kesi yakjaai se ab aahd-e-gulami kar lo
    milat-e-Ahem-e-MUrsal(saw) ko mukami kar lo

    kis qadar tun pe giran subh ki bedari hy
    ham se kab pyar hy han neend tme pyari hy

    tabaa-e-azad pe qaed-e-ramza'n bhari hy
    tunhi keh do yehi aa-en-e-wafadari hy

    qoom mazhab se hy mazhab jo nahi tum b nahi
    jazb-e-baham jo nahi mehfil-e-anjum b nahi

    jin ko ata nahi dunya main koi fun tum ho
    nahi jis qoom ko parwa-e-nasheeman tum ho

    bijliyan jis main hon asooda wo kharman tum ho
    beech khate hain jo aslaf k madfan tum ho

    honko naam jo kabro ki tejarat kar k
    kiya na beecho gy jo mill jain sanam pathar k

    safha-e-dahr se batil ko mitaya kis ne?
    no-e-insa'n ko gulami se bachaya kis ne?

    meere kaba ko jabino'n se sajaya kis ne?
    meere qura'n ko seeno se lagaya kis ne?

    thy to aba wo tumhare hi magar tum kiya ho?
    hath per hath darhe muntazir-e-firda ho!

    kiya kaha? behre musalma'n hy faqat waeda-e-hoor
    shikwa beja b kare koi to lazim hy shaoor

    adal hy fatir-e-hasti ka azal se dastoor
    muslim aa_e'n hua kafir to mile hoor-o-kasoor

    tum amin hooro'n ka koi chahny wala hi nahi
    jalwa-e-toor to mojoood hy Musa hi nahi

    manfa_at aik hy iss qook ki nuksan b aik
    aik hi sab ka Nabi(SAW), deen bhi. eeman bhi aik

    harm paal bhi, ALLAH bhi, QUran bhi aik
    kuch bari baat thi hote jo musalma'n b aik?

    fiqa bandi hy kahin or kahin zatain hain
    kiya zamane main panapne ki yehi baatain hain

    kon hy tarik-e-a_ain-e-Rasool-e-mukhtar?
    maslehat waqt ki hy kis k aamal ka mayar?

    kis ki ankho'n main samaya hy shuaar-e-agyar?
    ho gai kis ki nigah tarze salae se bezaar?

    qalabmain sooz nahi' rooh main ahsas nahi
    kuch b pegame Muhammad(S.A.W) ka tumhe pass nahi

    ja ke hote hain mahajid main saaf aara to gareeb
    zehmat-e-roza jo kerte hain gawara to gareeb

    nam leeta hy ager koi hamara to gareeb
    parda rakhta hy ager koi tumhara to gareeb

    umra nasha-e-dolat main hain gafil ham se
    zinda hy milat-e-beeza girba ke dam se

    waaiz qom ki wo pukhtah khayali na rahi
    barq tabeei na rahi shoalah maqali na rahi

    reh gai rasm-e-aza'n rooh-e-Bilali na rahi
    falsafa reh gaya talkeen-e-gazali na rahi

    masjeedain marsiya-khawa'n hain k namazi na rahe
    yaani woh sahib-e-aoosaf hajazi na rahe

    shoor hy ho gaay dunya se Musalma'n nabood
    ham ye kehte hain k thy bhi kahin Muslim mojod

    oaz'a main tum ho nasara to tamadan main hanud
    ye Musalma'n hain jinhain dekh kar sharmain yahood

    yun to syed bhi ho mirza bhi ho afgan bhi ho
    tun sabhi kuch ho batao to Musam bhi ho?

    dam-e-taqdeer thi Muslim ki sadaqat bebak
    adl iss ka tha qawi loos-e-maraat se pak

    shajar-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnak
    tha shujaat main wo aik hasti fookul adraq

    khod gadazi nim keaifiyat-e-sehbaish bood
    khali az khwaeesh shadan surat-e-menaish bood

    hur musalma'n rag-e-batil k liye nashtar tha
    iss ke aaina-e-hasti main amal jahar tha

    jp bharoosa tha isse quwat-e-bazu par tha
    hy tumhain mout ka dar iss ko khuda ka dar tha

    baap ka ilam na beete ko ager azbar ho
    phir pisar qabil-e-miras-e-pidar ku kar ho!

    har koi mast maee zoak-e-tan asani hy
    tun musalma'n ho ye andaz-e-musalmani hy?

    Hadari fikar hy ne dolat-e-eUsmani hy
    tum ko aslaf se kiya nisbat-e-rohani hy?

    WO ZAMANE MAIN MUAZAZ THY MUSAMA'N HO KAR
    OR TUM KHWAR HUAY TARIK-E-qURAA'N HO KAR

    tum ho apas main gazabnak wo apas main raheem
    tum khata kar o khatabia'n wo posh o kareem

    chahtye sab hain k hon aooj-e-suraiya pe mukeem
    pehle wesa koi peda to kare qalb-e-saleem

    takhat-e-Gafoor bhi unka tha sareer ke bhi
    YUN HI BATAIN HAIN K TUM MAIN WO HAMIYAT HY BHI!

    KHUDKUSHI SHEWA TUMHARA WO GAYOOR O KHUD_DAR
    TUM AKHUWAT SE GUREEZA'N WO AKHUWAT PE NISAR

    TUM HO GUFTAR SARAPA WO SARAPA KIRDAR
    TUM TARASTE HO KALI KO EO GULISTA'N BAKNAR

    AB TALAK TAD HY QOMO KO HIKAYAT UN KI
    NAQSH HY SAFAH-E-HASTI PE SADAQAT UN KI