Bahosh-o-hawaz main dewana video song lyrics by Mohd.Rafi Night In London 1967

Bahosh-o-hawaz main dewana
Yeh aaj wasiyat karta hoon
Bahosh-o-hawaz main dewana
Yeh aaj wasiyat karta hoon

Yeh dil, yeh jaan mile tumko
Main tumse mohabbat karta hoon
Bahosh-o-hawaz main dewana

Mere jiteji yaar tumhe
Meri saari jagir mile
Mere jiteji yaar tumhe
Meri saari jagir mile
Woh khawaab jo maine dekhe hain
Un khawabon ki taabir mile

Har ek tammana ke badle
Main aaj yeh hasrat karta hoon
Yeh dil, yeh jaan mile tumko
Main tumse mohabbat karta hoon
Bahosh-o-hawaz main dewana

Meri aankhon mein neend nahi
Mere hooton pe pyaas nahi
Meri aankhon mein neend nahi
Mere hooton pe pyaas nahi
Har cheez tumhare naam hui
Ab kuch bhi mere paas nahi

Tumne to lot liya mujhko
Main tumse shikayat karta hoon
Yeh dil, yeh jaan mile tumko
Main tumse mohabbat karta hoon

Bahosh-o-hawaz main dewana
Yeh aaj wasiyat karta hoon
Yeh dil, yeh jaan mile tumko
Main tumse mohabbat karta hoon
Bahosh-o-hawaz main dewana